Menu
blogid : 213 postid : 3

janeshwar mishra ka nidhan ek yug ka awashan

anubhav
anubhav
  • 5 Posts
  • 53 Comments

janeshwar mishra ka nidhan bhartiya rajneeti ke ek yug ka ant hai. shri mishra ne sarvjanik jeewan ke sath sath nijee jeewan me bhee shuchita ka palan kiya. wah sachche arthon me chhote lohiya the. mujhe baliya jile me paida huye janeshwar mishra ka deoria jile se gahra rishta tha. es jile ke salempur loksabha kshetra se unhone do baar kishmat aajmayee lekin jatiya rajneeti ki lahar me unhen ek baar bhee saflata nahin milee. kisi tarah apna naam likh pane wale harikewal prasad ne unhen hara diya. chunawee rajneeti ke karan hi sahi janeshwar jee ka deoria se gahra rishta ban gaya. wah aksar aate rahte the. unhi dinon se janeshwar jee ko mujhe bhee janne ka mauka mila. tab main deoria me jagran ka jila prabhari huwa karta tha. baad me mulakaton ka silsila sa chal para. lagbhag ek darjan baar unka sakshatkar lene ka awasar mila tha, har bar wah nirale lage. kayee sawalon per ghire janeshwar ne apnee galtiyan bhee usee nirbheekta se sweekar ki jish nirbheekta se wah apni uplabdhiyan logon ko batate the. mujhe wah sawal aaj bhee yaad hai jise sunker janeshwar mishra begad bhawuk ho gaye aur panch minat tak koyee uttar naghn diya tha, lekin unki chuppi jab tootee to maine shareer se bharee awam achalasth janeshwar ke naye roop ka darshan kiya. unhone kaha ki janeshwar shareer se achlashth jaroor ho sakta hai lekin vicharon aur siddhanton se wah na to achlastha ho sakta hai aur na hi kisee ka pichhlaggoo. samajwadee parti me main hoon to aapni marjee aur apni swatantrata ke sath na ki mulayam singh ya kisi ki kripa ki badaulat, jis din main mahsoos karne lagoonga ki main ab rajneeti men sachmuchmuch achalasth ho gaya hoon aur parti ke log mera muh dekhkar mere uper kripa karne lage hain usi din rajneeti ko alvida kah doonga. vastav bimar hone ke bawjood janeshwar jee ne aakhiri sans tak samajwadi sangharsh ka rasta nahin chhoda. mrityu bhee huyee to ladte ladte.

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh